Saturday, December 26, 2015

Mahek mohabbat ki kam nahi hoti,

~~~~~===============******===============~~~~~
~~~~~===============******===============~~~~~
(1)
Mahek mohabbat ki kam nahi hoti,
Mohabbat se bhi zindgi kam nahi hoti,
Saath zindagi main Dosti ka ho agar,
To Zindagi 'Jannat' se kam nahi hoti.

~~~~~===============******===============~~~~~
(2)

Mushkilo se ghabra K ab jeena nahi chahte,
Dur tumse hoke ab rahna nahi chahte,
Yun to Dost bahot bane is zindagi mein,
Par tuz jaise Dost ko khona nahi chahte

~~~~~===============******===============~~~~~
(3)

Har raat ko chand ka shingar nahi milta,
Har baag ko phool ka dular nahi milta,
Maine bhi duniya dekhi hai Dost,
Har insaan ko tere jaisa yaar nahi milta.

~~~~~===============******===============~~~~~
(4)

Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota
Har musafir jindagi ka sahara nahi hota
Milte hai bahot log is tanha jindagi mein
Par koi DOST tumsa pyara nahi hota!

~~~~~===============******===============~~~~~
(5)

Jasda-e-Dost nakam nahi hone denge!
Aap ki duniya me shaam nahi hone denge!
Dosti ka har imtihan apne sar pe lenge!
Par e Dost,Aapko kabhi pareshan na hone denge!

~~~~~===============******===============~~~~~
(6)

Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jaata,
Dil me lagi aag ko bujhaya nahi jaata,
Kitni bhi duri ho Dosti me,
Aap jaise Dost ko bhulaya nahi jaata.

~~~~~===============******===============~~~~~
(7)

Rishto ki kitab ka cover hai Dosti,
Dosti se bani hai hamari Hasti,
Khoon K rishto ki baat aap karte hai,
Hamare liye to Zindagi hai Aap Ki Dosti

~~~~~===============******===============~~~~~
(8)

Naye milte hai to hum purano ko aksar bhul jate hain,
Magar yeh mat bhul aye Yaar
Jab naye Dil tod jate hai to purane hi saath nibhate hai

~~~~~===============******===============~~~~~
(9)

Teri palko pe khwab rakh gaya koi
teri saso pe naam likh gaya koi
chalo vada raha tumse
bhool jana hame agar humse acha Dost tumhe mil gaya koi..

~~~~~===============******===============~~~~~
(10)

Vaise to kai Dost hai hamare,
jaise asmaan me kai tare
par aap Dosti K aasman K woh chand hai
jiske samne fikey padte hai sare sitare